sdi

Monday, April 19, 2010

ISLAMI NAAM RAKHANE KA BYAAN


{1}HADEES SHARIF:
HUZUR SALLALAHU ALAHI WA SALLAM ne farmaya
ki APANE BHAAIO ko unke ACHHE NAAMON se
PUKAARON BURE ALQAAB se NAA PUKAARON
[ADABE SUNNAT]

{2}HADEES SHARIF:
TUMHAARE NAAMON mein ALLAH ke NAZDEEK zyada
PYARA NAAM ABDULLAH w ABDUL REHMAAN hai.
[MUSLIM]

{3}HADEES SHARIF:
AULAAD ko WAALID par yah HAQ hai ki USKA
ACHHA NAAM RAKHE aur ACHHA ADAB sikhaaye.
[BAIHIQI]

{4}HADEES SHARIF:
RASOOLULLAH SALLALAHO ALAIHI WA SALLAM
FARMAATE hai ki jisake LADKA PAIDA HUA
aur wah MERI MUHABBAT aur MERE NAAM se
BARKAT HAASIL karne ke liye uska NAAM
MUHAMMED rakhe wah aur uska LADKA DONO
BAHISHT mein jaaye.
[IBNE ASAAKIR,ADAABE SUNNAT]

{5}HADEES SHARIF:
RASOOLULLAH SALLALAHO ALAIHI WA SALLAM
FARMAATE hai ki ALLAH TALA ne FARMAYA
MUJHE APANE IZZAT W JALAAL ki QASAM
JISKA NAAM TUMHAARE NAAM par hoga use
AZAAB NAA DUNGA.
[ADAABE SUNNAT]

No comments:

Post a Comment