sdi

Friday, April 23, 2010

SALAAM KA BYAAN


HADEES NO.1:-HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAYA ki kyaa main tum ko aisi BAAT NAA BATAAOO ki jab TUM USE karo to TUMHAARE DARMIYAAN MUHABBAT BADHE aur wah yah ki AAPAS mei SALAAM ko rawaaj do.
[MUSLIM,ANWARUL HADEES]

HADEES NO.2:-HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAYA ki KALAAM se PAHALE SALAAM karnaa chaahiye.
[TIRMIZI,ANWARUL HADEES]

HADEES NO.3:-HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAYA ki SALAAM mein PAHAL karane waala GUROOR aur KHAMAND se PAAK hai.
[BAIHIQI]

HADEES NO.4:-HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAYA ki JAB KOI TUM mein se MUSALAMAANO ke MAJMAA mein PAHUNCHE to SALAAM kare phir agar BAITHANE ki ZAROORAT ho to baith jaaye aur jab CHALANE LAGE to DOBARA SALAAM karo.
[TIRMIZI]

1 comment: