sdi

Saturday, May 8, 2010

HUZUR KE PINEWAALI CHEEZON KA BYAAN-2



HADEES SHARIF:-HAZRATE IBNE ABBAS RADIYALLAHU TALA ANHUMA se RIVAYAT hai ki RASOOLULLAH SALLALAAHU ALAIHI WA SALLAM ne FARMAAYA JAB TUM MEIN SE KOI KHAANA KHAAYE to kahe YE ALLAH HAMEIN ISAME BARKAT dein aur isase hame BEHTAR KHILAANA JAB DUDH PIYE TO KAHE YE ALLAH HAMEIN isamein BARKAT dein aur isase ZYADA DENA kyunki jo CHEEZE KHAANE aur PINE DONO ki jagah kaam kare aisi DUDH ke SIWAA KOI NAHIN.
[TIRMIZI,ABU DAWOOD SHARIF]

SATTU:-KACHHE JAU ko BHUN KAR JAU AATA BANAA LIYA JATA hai use SATTU KAHATE HAI SATTU CHINI YA SHAKAR YA SHAHED ke SHARBET me MILAAKAR ISTEMAAL kiye jaate hai
HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne SATTU ko ISTEMAAL FARMAYA hai isliye SUNNAT SAMAJHKAR SATTU ko ISTEMAAL mein LANA SAWAAB hai
[ADAABE SUNNAT]

HADEES SHARIF:- HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ne UMMUL MOMININ HAZRAT SAPHIYA RADIYALLAHU TALA ANHA SE SHAADI PAR KHAJUR aur SATTU SE WALIMAA kiya.
[TIRMIZI]

HAZRAT ANAS RADIYALLAHU TALA ANHU se RIVAYAT HAI KI EK MARTABA UNHONE EK PYAALA DIKHAYA AUR FARMAYA KI IS PYAALE ME MAIN HUZUR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM ko DUDH SHAHED SATTU NABEEZ aur THANDAA PAANI PILAAYA kartaa tha.
[ADAABE SUNNAT]

No comments:

Post a Comment