sdi

Tuesday, May 4, 2010

KASBE HALAAL KI AHMIYAT


HALAAL KYAA HAI ?
TAFSEER RUHUL BYAAN mei hi ki HALAAL WAH hai JISE SHARIYAT ACHHA SAMJHE aur TAIYEB wah hai jise TABIYAT ACHHA JAANE.YAHAAN se yah baat SAMAJH mein AATI hai ki ZAAHIRI TAUR PAR SAAF SUDHARI GIZAA jo DEKHANE mein BADI ACHHI MAALUM ho KHAANE mein LAZIZ ho wah DUNIYAA WAALON ke nazdeek to KHAANE ke QAABIL hai LEKIN ISLAAM ki NIGAAH mein us WAQT tak KHAANE ke LAAYAK NAHIN jab tak KI wah HALAAL KAMAAI se HAASIL NAA HUE ho aur usamein mile hue JAMEEA AJZA HALAAL NAA ho.

AIE IMAAN WQAALON KHAAO HAMAARI DI hue SUTHARI CHEEZE aur ALLAH ka EHSAAN MAANO agar tum usi ko PUJATE ho.
[PARA:2,SURAE BAQRAH:AYAT:172]

ALLAH KE RASOOL SALLALAHO ALAIHI WA SALLAM ne IRSHAAD FARMAYA HALAAL ROZI HAASIL karnaa FARZ ke baad ek KHAAS FARZ hai.
[MISHKAT SHARIF]

ALLAH KE RASOOL SALLALAHO ALAIHI WA SALLAM ne IRSHAAD FARMAYA HAZRAT DAWOOD APANE HAATH ki KAMAAI hi KHAAYA karte the.
[BUKHARI]

ALLAH KE RASOOL SALLALAHO ALAIHI WA SALLAM ne IRSHAAD FARMAYA HAZRAT ZAKRIYA BADHAI ka kaam karte the.
[BUKHARI]

No comments:

Post a Comment